Salaamat rahe dostaana hamaara from ( Dostana) 1980











Directed byRaj Khosla
Produced byYash Johar
Written bySalim-Javed
StarringAmitabh Bachchan
Shatrughan Sinha
Zeenat Aman
Prem Chopra
Pran
Amrish Puri
Helen
Music byLaxmikant-Pyarelal
CinematographyNariman A. Irani
Edited byWaman Bhonsle
Distributed byDharma Productions
Yash Raj Films
Release date
  • 17 October 1980
Running time
153 mins
CountryIndia
LanguageHindi-Urdu[1]
.......................Lyric..............................

bane chaahe dushman zamaana hamaara
bane chaahe dushman zamaana hamaara
salaamat rahe dostaana hamaara
bane chaahe dushman zamaana hamaara
salaamat rahe dostaana hamaara
salaamat rahe dostaana hamaara
bane chaahe dushman zamaana hamaara
salaamat rahe dostaana hamaara

wo khwaabon ke din
wo kitaabon ke din
wo khwaabon ke din
wo kitaabon ke din
sawaalon ki raaten
jawaabon ke din
kayi saal ham ne guzaare yehaan
yahin saath khele huye ham jawaan
huye ham jawaan
thha bachpan badaa aashiquana hamaara
salaamat rahe dostaana hamaara
bane chaahe dushman zamaana hamaara
salaamat rahe dostaana hamaara

na bichhdenge mar ke bhi ham doston
na bichhdenge mar ke bhi ham doston
hamen dosti ki qasam doston
pataa koyi poochhe to kehte hain ham
ke ek dooje ke dil mein rehte hain ham
rehte hain ham
nahin aur koyi thikaana hamaara
salaamat rahe dostaana hamaara
bane chaahe dushman zamaana hamaara
salaamat rahe dostaana hamaara
salaamat rahe dostaana hamaara
bane chaahe dushman zamaana hamaara
salaamat rahe dostaana hamaara
...............................Part 2 .........................

tujhe chhodkar
main pareshaan hoon oon
teri berukhi pe main
hairaan hoon
machhalkar galey se
lagaa le mujhe ae ae
main roothha huaa hoon
manaa le mujhe
manaa le mujhe ae
na ho jaaye ruswaa fasaanaa hamaaraa
salaamat rahe dostaana hamaaraa
salaamat rahe dostaana hamaaraa
.............................Part 3 ...........................

Mere saathiyaa
so na jaana kahin
qasam hai tujhe
kho na jaana kahin
isi neend mein ae
doob jaayegaa tu u u
mujhe zindagi bhar
rulaayegaa tu
ghadi do ghadi
gham ki yeh raat hai
akele nahin hum
khudaa aaa aaaa
saathh hai

gire hain to kya hai
sambhal jaayenge
qafas tod kar ham
nikal jaayenge
buraa waqt hai ae
magar gham nahin
judaa hone waale
kabhi ham nahin
hamen zindagi loot sakti nahin ee ee
ke yeh dosti ee
toot sakti nahin
toot sakti nahin ee ee
ke hai pyaar barson
puraana hamaara
salaamat rahe dostaana hamaara
bane chaahe dushman zamaana hamaara
salaamat rahe dostaana hamaara

shahar mein koyi
apne jaisa nahin
shahar mein koyi
haan shahar mein koyi
apne jaisa nahin ee
kisi aur mein
zor aisa nahin ee ee
kisi waqt chaahe
bulaa lo hamen ea
agar shaque ho to
aazmaa lo hamen
aazmaa lo hamen
na jaayegaa khaali
nishaana hamaara
salaamat rahe dostaana hamaara
bane chaahe dushman zamaana hamaara
salaamat rahe dostaana hamaara

No comments

Powered by Blogger.